Sunday, 8 January 2012


Zindagi kamyab kab hoti hai

            Hum sochtey hain ki humari zindagi kamyab tab hoti hai jab hum zinda ho zindagi mein naam paisa shaurat kamale dhang ki naukri logo ko dikhane ke liye. khubsurat life partner khud ko logo ki nazar mein cool banana ke liye logo ke bich bada rutba. Achi gadi ache kapde mobile phone laptop wagaira wagair par ye saari chize tho humein duniya mein chod kar jana hai ian mein se koi bhi chiz humare marne ke baad kaam nai aayegi. Insan ki zindagi kamyab hoti hai insan ki gair haziri mein wo kaise. Tho wo aise.

            Humari zindagi kamyab tab hoti hai jab hum kisi ek insan ko itna apna bana sake ke jab hum uas insan se dur chale jayein aur wo insan humein yaad kar ke tadpe nahin kose nahi balki humari kamyabi ki dua apne parwardigar se kare aur ek bundh aansu bahaye tab jaa kar humari zindagi kamyab hoti hai. Kyu ke koi dur baitha hai jo humare liye apne parwardigar se dua kar raha hai.

Aur aisi hi ek kahani hai do pyar karne walo ki jo kamyab zindagi ke kuch panne humarey liye ias duniya mein chod gaye…………!